Saturday, October 1, 2011

Ye Duniya Agar Mil Bhe Jaye To Kya Hai






Yeh Mehloon,Yeh Takhtoon,Yeh Taajoon Ki Duniya,
Yeh Insaan Key Dushman Samaajoon Ki Duniya,
Yeh Doolat Key Bhookey Riwajoon Ki Duniya,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai

Har Eik Jism Ghayal,Har Eik Rooh Piyaasi,
Nigahoon Mein Uljhan,Diloon Mein Udaasi,
Yeh Duniya Hai Ya Aalam-e-Badhawasi,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai

Yahaan Eik Khiloona Hai Insaan Ki Hasti,
Yeh Basti Hai Murda Parastoon Ki Basti,
Yahaan Tu Jeevan Sey Hai Maut Sasti,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai

Jawaani Bhatakti Hai Badkaar Ban Kar,
Jawaan Jism Sajtey Hein Bazaar Ban Kar,
Yahaan Pyaar Hota Hai Beopaar Ban Kar,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai

Yeh Duniya Jahaan Aadmi Kuch Nahi Hai,
Wafa Kuch Nahi,Doosti Kuch Nahi Hai,
Yahaan Pyaar Ki Qadr Hi Kuch Nahi Hai,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai

Jala Du Isey,Phoonk Daloo Yeh Duniya.
Meray Saamney Sey Hata Loo Yeh Duniya,
Tumhari Hai Tum Hi Sanmbhaloo Yeh Duniya,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai

No comments:

Post a Comment