Sunday, December 29, 2013

Titli (Full Song) - Chennai Express (2013) *HD* 1080p *BluRay* Music Videos





Kondal vannanaik kovalanay venney
Unda vayan en, Ullam kavarndhanai (x2)

Andar kon ani arangkan en amudhinaik
Andar kon ani arangkan en amudhinaik
Kanda kangal marronrinaik kanave

Translation:
(I have seen the One whose color is like dark rainclouds
He is the one with the mouth that swallowed the butter of cowherds,
He is the Lord of the devas, He is Lord Ranganatha,
He is my nectar, my life!
My eyes have seen my Lord and will not see anything else!)

Bann ke titli dil uda uda uda hai
Kahin doooor.......

Bann ke titli dil uda uda uda hai
Kahin doooor...
Chal ke khushboo se juda juda juda hai
Kahin doooor...
Haadse ye kaise
Unsune se jaise choome adheron ko
Koi Nooor...

Bann ke titli dil uda uda uda hai
Kahin doooor...

Sirf keh jaaun ya
Aaasmaan pe likh doo
Teri taarifon mein
Chashme Baddoor...

Bann ke titli dil uda uda uda hai
Kahin doooor...
Chal ke khushboo se juda juda juda hai
Kahin doooor...

Kondal vannanaik kovalanay venney
Unda vayan en
Ullam kavarndhanai
Andar kon ani arangkan en amudhinaik
Kanda kangal marronrinaik kanave

Bhoori bhoori aankhein teri
Kankhiyon se tez teer kitne chhode
Dhaani dhaani baatein teri
Udte-phirte panchhiyon ke rukh bhi mode

Adhoori thi zara si
Main poori ho rahi hoon
Teri saadagi mein hoke choor.....

Bann ke titli dil uda uda uda hai
Kahin doooor...

Sirf keh jaaun ya
Aaasmaan pe likh doo
Teri taarifon mein
Chashme Baddoor...

Tamil:
Kondal vannanaik kovalanay venney
Unda vayan en, Ullam kavarndhanai (x2)

Andar kon ani arangkan en amudhinaik
Andar kon ani arangkan en amudhinaik
Kanda kangal marronrinaik kanave

Sunday, November 3, 2013

Pyaar Ke Liye [Full Song] (HD) With Lyrics - Thoda Pyaar Thoda Magic

http://www.youtube.com/v/3lyiN62aJM4?autohide=1&version=3&autoplay=1&autohide=1&attribution_tag=SsM4y3cI8KLtdhv1yILRZg&showinfo=1&feature=share
















Kabhi socha hai kya x2 barish kyu bhaye

Kyu geet bewajah hontope aaye
Kyu achhi lage talwo me lahre
Kyu bhatke kadam ik pal na tahare
Ye sab ishare hai sang jo hamare hai
Dil ne saware hai pyaar ke liye
ooooo....
ooooo....
 Dil ki shakho pe chalete hai kyu Zhule
Khushbu kyu kisiki sanso ko na bhule
 Hont thar-thrate kyu par na batate kyu
 Unki nanukur bhi hai pyar ke liye

Kabhi socha hai kya x2 barish kyu bhaye
Kyu geet bewajah honto pe aaye ye sab ihsare hai
 Sang jo hamare hai dil ne saware hai pyaar ke liye

Aisa kyu lage hai jaise kuch adhura
 Wo chand hai mukammal kyu na lagta pura
 Aankho ki sipi mei khwabo ke moti hai
 Moti tarsate hai pyar ke liye

Kabhi socha hai kya x2 barish kyu aaye kinyu
Kyu geet bewajah hotope aaye ye sab ihsare hai
 Sang jo hamare hai dil ne saware hai pyaar ke liye



Sunday, October 20, 2013

DIL KO TUMSE PYAR HUA - REHNA HAI TERE DIL MEIN - HQ .




Dilko Tumse Pyaar Hua Pehli Baar Hua
Tumse Pyaar Hua Main Bhi Aashiq Yaar Hua
Pehli Baar Hua Tumse Pyaar Hua
Chaayi Hain Betaabi Meri Jaan Kahon Main Kya Karoon x2
Dilko Tumse Pyaar Hua Pehli Baar Hua
Tumse Pyaar Hua Main Bhi Aashiq Yaar Hua
Pehli Baar Hua Tumse Pyaar Hua

Kho Gaya Main Khayalon Mein
Ab Neend Nahin Aankhon Mein
Karvate Bas Badalta Hoon
Ab Jaagta Hoon Main Raaton Mein
Ab Doori Na Sehni Har Lamha Kehta Hain
Na Jaane Haal Mera Aisa Kyon Rehta Hain
Main Deewana Tera Bangaya Jaane Jaana
Main Fasana Tera Bangaya Jaane Jaana
Haseena Gori Gori Churaye Chori Chori
Churaye Dil Chori Chori Chori Chori Chori
Dilko Tumse Pyaar Hua Pehli Baar Hua
Tumse Pyaar Hua Main Bhi Aashiq Yaar Hua
Pehli Baar Hua Tumse Pyaar Hua

Aarzoo Hain Mere Sapnon Ki
Baitha Rahoon Teri Baahon Mein
Sirf Tu Mujhe Chaahe Ab
Itna Asar Ho Meri Aahon Mein
Tu Keh De Haske To Tod Dooon Main Rasmon Ko
Marke Bhi Na Bhoolon Main Teri Kasmon Ko
Main To Aaya Hoon Yahan Pe Bas Tere Liye
Tera Tan Man Sab Hain Mere Liye
Kya Haseena Zara Sama Hai Pyaara Pyaara
Gale Lagale Yaara Yaara Yaara Yaara Yaara

Main Bhi Aashiq Yaar Hua
Pehli Baar Hua Tumse Pyaar Hua
Chaayi Hain Betaabi Meri Jaan Kahon Main Kya Karoon x2

Saturday, October 19, 2013

Jhuki Jhuki Si Nazar ..... jagjit singh (arashsadaat)




Jhuki Jhuki see nazar bekaraar hai ke naheen
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hai ke naheen
Jhuki Jhuki see nazar...

tu apne dil ki jawaan dharkanon ko gin ke bataa x2
meri tarah teraa dil bekaraar hai ke naheen
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hai ke naheen...

teri umeed pe thukaraa rahaa hoo duniya ko x2
tujhe bhee apne pe ye ayetabaar hain ke naheen
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hai ke naheen
Jhuki Jhuki...

Saturday, October 12, 2013

Pyar Hua Chupke Se - 1942 A Love Story {HQ}




Dil Ne Kaha Chupke Se
Yeh Kya Hua Chupke Se
Kyon Naye Lag Rahe Hein
Yeh Dharti Gagan Meine
Pichcha To Boli Yeh Pagli Pawan
Pyar Hua Chupke Se
Yeh Kya Hua Chupke Se

Titliyon Se Suna x2
Meine Kissa Bagh Ka
Bagh Mein Thi Ek Kalee
Sharmeely Unchooee
Ek Din Manchala Bhanwara Aa Gaya
Khil Uthi Woh Kalee Paya Roop Naya
Puchti Thi Kalee
Yeh Mujeh Kya Hua
Phool Hansa, Chupke Se...
Pyar Hua...

Meine Badal Se Kabhi x2
Yeh Kahani Thi Sunee
Parvaton Ki Ek Nadee
Milne Sagar Se Chalee
Jhoomti Ghoomti ho.. Nachtee Doltee
Kho Gayee Apne Sagar Mein
Ja Ke Nadee
DekhnePyar Ki Aisi Jadugari
Chand Khila Chupke Se...Pyar Hua...

kyon naye lag rahe.....

Friday, October 11, 2013

Kisi Ki Muskurahaton Pe Ho Nisar - Raj Kapoor - Anari - Mukesh - Manna D...




Kisiki muskuraahaton pe ho nisaar
Kisika dard mil sake to le udhaar
Kisike waaste ho tere dil mein pyaar
Jeena issi ka naam hai... (2)

Maana apni jeb se fakeer hain
Phir bhi yaaron dil ke ham ameer hain... (2)
Mitte jo pyaar ke liye woh zindagi
Jale bahaar ke liye woh zindagi
Kisi ko ho na ho hamein to aitbaar
Jeena issi kaa naam hai

Rishta dil se dil ke aitbaar ka
Zinda hai hameen se naam pyaar ka... (2)
Ke mar ke bhi kisi ko yaad aayenge
Kisi ke aansuon mein muskuraayenge
Kahega phool har kali se baar baar
Jeena issi kaa naam hai
Kisiki muskuraahaton pe ho nisaar...


Kisiki muskuraahaton pe ho nisaar
Kisika dard mil...........

All Full Shayari (Poetry) - Zindagi na milegi dobara - HD.mp4




Poem 1
Pighle neelam sa behta ye sama,
neeli neeli si khamoshiyan,
na kahin hai zameen na kahin aasmaan,
sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan,
keh raheen hai bas ek tum ho yahan,
bas main hoon,
meri saansein hain aur meri dhadkanein,
aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan,
aur main… sirf main.
Apne hone par mujhko yakeen aa gaya.

Poem 2
Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ahsas hi ahsas hai

Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai

Poem 3
Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya

Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai

Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai

Poem 4
Dilon me tum apni betabiyan leke chal rahe ho,to zinda ho tum
Nazar me khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho,to zinda ho tum
Hwa ke jhokon ke jaise aazad rehno sekho
Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna sekho
Hr ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Hr ek pal ek nya sama dekhe nigahein
Jo apni ankhon mein hairanian leke chal rahe ho,to zinda ho tum
Dilon mein tum apni betabian leke chal rahe ho,to zinda ho tum