Friday, October 11, 2013

All Full Shayari (Poetry) - Zindagi na milegi dobara - HD.mp4




Poem 1
Pighle neelam sa behta ye sama,
neeli neeli si khamoshiyan,
na kahin hai zameen na kahin aasmaan,
sarsaraati hui tehniyaan pattiyaan,
keh raheen hai bas ek tum ho yahan,
bas main hoon,
meri saansein hain aur meri dhadkanein,
aisi gehraiyaan, aisi tanhaiyaan,
aur main… sirf main.
Apne hone par mujhko yakeen aa gaya.

Poem 2
Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ahsas hi ahsas hai

Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai

Poem 3
Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya

Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai

Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai

Poem 4
Dilon me tum apni betabiyan leke chal rahe ho,to zinda ho tum
Nazar me khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho,to zinda ho tum
Hwa ke jhokon ke jaise aazad rehno sekho
Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna sekho
Hr ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Hr ek pal ek nya sama dekhe nigahein
Jo apni ankhon mein hairanian leke chal rahe ho,to zinda ho tum
Dilon mein tum apni betabian leke chal rahe ho,to zinda ho tum

Lootera Zinda Hoon Yaar Full Song | Ranveer Singh, Sonakshi Sinha




Mujhe chhod do mere haal pe
Mujhe chhod do mere haal pe
Zinda hoon yaar, kaafi hai!
Zinda hoon yaar, kaafi hai! (x2)

Hawaaon se jo maanga hissa mera
To badle main hawa ne saans di
Akelepan se chhedi jab guftagu
Mere dil ne aawaaz di
Mere haathon, hua jo qissa shuru
Usey poora toh karna hai mujhe
Qabr par mere sar utha ke khadi ho zindagi
Aise marna hai mujhe!

Kuch maangna baaqi nahi
Kuch maangna baaqi nahi
Jitna mila kaafi hai
Zinda hoon yaar, kaafi hai!

Mujhe chhod do mere haal pe
Mujhe chhod do mere haal pe
Zinda hoon yaar kaafi hai
Zinda hoon yaar kaafi hai

Mujhe chhod do.. o o..
Mujhe chhod do.. o o..
Mere haal pe...

Friday, October 4, 2013

KOI MIL GAYA




Khvaabon, KhayaaloN, KhavaahishoN Ko Chehraa Milaa 2
Mere Hone Kaa Matlab Milaa
Koi Mil Gayaa -2
Haan Kaun Mil Gayaa
Koi Mil Gayaa..
Ho, Ho Ho Ho Ho Ho Ho Ho
Aan Han Haan Haan Haan Haan Haan
Ho Ho Ho

Yun To Ham Tum, Milne Ko Milte Rahe 2
Par KyuN Aaj Aisaa Lagaa
Koi Mil Gayaa 2
HaaN Kaun Mil Gayaa
Koi Mil Gayaa

Ho Ho, Ho Ho Ho Ho Ho Ho Ho 2

Mujhse Milkar Kyaa Hotaa Hai
Ye Batlaao Naa -2
Baat Ye Ham KaanoN Mein Kahenge
Paas Mein Aao Naa -2
Jo Baat Tum Kahoge,
Vo Baat Main Bhi JaanooN
Ye Paas Mein Aane Ki,
Main Baat Nahin MaanooN
Suno Na, Suno Na, Suno.. Na
Yun To Baaten Karne Ko Karte Rahen
Par KyuN Aaj Aisaa Lagaa
Koi Mil Gayaa -2
Haan Kaun Mil Gayaa
Koi Mil Gayaa

O Oo, Aa Oo Oo Oo Oo
O O, Aa O O O O

Aakar Mere Paas Mein Tum Ho,
Jaakar Bhi Ho Paas -2
Is Ehsaas Ke Jaisaa Koi,
Aur Nahin Ehsaas -2
Ye Jo Bhi Ho Rahaa
KyuN Jaantaa Nahin Main
Apne Hi Dil Ki Baaten
Pahchaantaa Nahin Main
Pahchaano Pahchaano Pahchaa..No
Dil To Apnaa Pahle Bhi DhaDkaa Kiyaa
Par KyuN Aaj Aisaa Lagaa
Koi Mil Gayaa -2
HaaN Kaun Mil Gayaa
Koi Mil Gayaa
Ho, Ho Ho Ho Ho Ho Ho Ho
O Ho Ho Ho Ho Ho Ho Ho
Aa Haa Haa

KhvaaboN, KhayaaloN...

Wednesday, September 11, 2013

Aao Na





(Ga ga re ga ga re ga re ga ma ga re
Ni re sa ni re sa ni sa ni
Ga ga ga re ga ga re ga ma pa ni
Dha ni dha ni dha pa ma ga re ma ga
Ga ga re ga ga re ga re ga ma ga re
Ni re sa ni re sa ni sa ni
Ga ma pa ni dha ni dha ni dha ni
Dha pa pa sa sa sani dha pa ma ga re ma ga) - 2


Goonji si hai saari fiza
Jaise bajti ho shehnaaiyaan
Laheraati hai maheki hawa
Gungunaati hai tanhaaiyaan
Sab gaate hain sab hi madhosh hain
Hum tum kyoon khaamosh hain
Saaz-e-dil chhedo na, chup ho kyoon gaao na
Aao na aao na, aao na aao na

Ga ga re ga ga re ga re ga ma ga re
Ni re sa ni re sa ni sa ni
Ga ga ga re ga ga re ga ma pa ni
Dha ni dha ni dha pa ma ga re ma ga
Ga ga re ga ga re ga re ga ma ga re
Ni re sa ni re sa ni sa ni
Ga ma pa ni dha ni dha ni dha ni
Dha pa pa sa sa sa ni dha pa ma ga re ma ga


Tan mann mein kyoon aise baheti hui
Thandi si ek aag hai
Ho, saanson mein hai kaisi yeh raagini
Dhadkan mein kya raag hai
Yeh hua kya hamein, humko samjhaao na x2
Sab gaate hain sab hi madhosh hain
Hum tum kyoon khaamosh hain
Dil mein jo baatein hain honton pe laao na
Aao na aao na, aao na aao na


Ab koi doori na uljhan koi
Bas ek ikraar hai
Ab na kahin hum na tum ho kahin
Bas pyaar hi pyaar hai
Sun sako dhadkanein itne paas aao na x2
Sab gaate hain sab hi madhosh hain
Hum tum kyoon khaamosh hain
Ab mere sapnon pe tum hi tum chhaao na
Aao na aao na, aao na aao na x2

Goonji si hai...